Love Poem: ISHQ E VAFA
Rahemanali Dauva Avatar
Written by: Rahemanali Dauva

ISHQ E VAFA

ISHQ-E-VAFA
ISHQ-E-VAFA KE BADLE, HUMKO KYA MILA?
ISHQ-E-ZAFA KE BADLE, TUMKO KYA MILA?
HUM NAHIN TERE SAR-E-TAJ KE GHAFIL,
TERI RUSDO-AGAHI MEIN HUMKO SALIKA MILA.


ISHQ-E-RUSWA KE BADLE, HUMEIN ZAKHM MILA,
ISHQ-E-FANA KE BADLE, TUMHEIN BAKA MILA.
HUM NAHIN HAIN TERE SHOKH-E-ISHQ KE BANDE,
TERE RAH-E-SHOKH MEIN HUMEIN PATTHAR MILA.


SHARM-O-HAYA KE BADLE, HUMEIN ZILLAT MILA,
SHOKH-E-BEZAR KE BADLE, TUMHEIN ETIMAAD MILA.
HUM NAHIN TERE UMEED-E-FAZA KE KHILONE,
TERE FIRAAQ-E-ISHQ MEIN HUMEIN RAFTAAB MILA.


DIL-E-RUBABIYAT KE BADLE, HUMEIN RANJ MILA,
DIL-E-SHOR KE BADLE, TUMHEIN SUKOON MILA.
“RAHEMAN” SADA HAI RAFTAAB-E-HAQEEQAT PE,
TERE RAFTAAB-E-BATIL MEIN HUMEIN HAQ MILA.


RAAH-E-GULSHAN KE BADLE, HUMEIN ZEHAR MILA,
ZAKHM-O-ZAFA KE BADLE, TUMHEIN HAYA MILA.
RAHEMAN AB NAHIN RAHA MUHAJIR BANKAR,
TERE ISHQ-E-FIRAAQ MEIN HUMEIN AAINA MILA.