Love Poem: Shab-E-Intezaar
Rajiv Jha Avatar
Written by: Rajiv Jha

Shab-E-Intezaar

Ghum-e-aarzoo dil se, kabhi to rukhsat hogi
Kabhi to sahar hoga, shab-e-intezaar guzaregi |

Palkon me jiske, simat ti ho ghataein
Saawan pe bhi uska hi, ikhtiyaar hoga |
Kab tak rahe viraan, dil-e-anjuman aakhir
Kabhi to bahar chupke se, is or bhi badhegi ||

Guzarte waqt ke saye, kuch bechainiyan hongi
Betaab dhadkano ko, mera intezaar hoga |
Kab tak khafaa rahegi, wo shokh nazar aakhir
Kabhi to dast-e-dil se, shabaa pyar ki uthegi  ||

Is umeed par chale, har sham meri sansein
Kal ke ujale shaayad, milne ki ghadi hogi |
Andhere me ghira main, sochta hoon ye har waqt
Hogi raat ye badi, ya meri umra badi hogi ||